Zainab Ka Naam Musallay Par | Anjuman Sahebuz Zaman | Abbas Ali | 21 Ramzan noha 1444 / 2024

Publicado 2024-04-02
Zainab Ka Naam Musallay Par | Anjuman Sahebuz Zaman | Abbas Ali | 21 Ramzan noha 1444 / 2024

21 Ramzan Noha | Zainab Ka Naam Musallay Par | Mir Hasan Mir Noha 2018 | Shahadat Mola Ali Noha

Roo Roo Kay Ali Kyun Laitay Hain Zainab Ka Naam Musalay Par
Ro Ro Ke Ali Kyu Lete Hain Zainab Ka Naam Musalay Par

Lyrics:
Ro Ro Ke Ali Kyun Letay Hain
Zainab Ka Naam Musalay Par.
Kya Yaad Ali(AS) Ko Aaya Hai
Bazar-e-Sham Musalay Par.

Khoon Jari Tha Zakhmi Sar Se Rote

They Namazi Saf Mein Kharay.

Kis Tarha Hasan(AS) Ne Ro Ro
Kar Ki Fajar Tamam Musalay Par.

Kya Maa Ki Tarha Lenay Tum Ko
Masjid Mein Chali Aaye Zainab(SA).
Baba Ko Ja Kar Haye Do Fizza(SA)
Mera Paigham Musalay Par.

Zakhmi Pehlu Jab Yaad Aaya
Zakhmi Peshani Bhool Gaya.
Zahra(SA) Ki Musibat Par Roya
Mazloom Imam Musalay Par.

Yeh Pehli Fajar Hai Zainab(SA) Ki
Sajday Mein Sakoon Milta Hi Nahi.
Dil Dobta Hai Aata Hi Nahi
Ik Pal Aaram Musalay Par.

Dewar-e-Kaba Beth Gayi
Al-Hamd Lahu Mein Doob Gayi.
Ummat Se Mila Hai Mula(AS)
Ko Kaisa Inam Musalay Par.

Oss Ghairatdar Ki Ghurbat Par
Roti Hai Ali(AS) Ki Ghurbat Bhi.
Chalees Bars Jo Kehta Raha
Asham Asham Musalay Par.

Shabir(A.S) Ki Janib Se :AKBAR:
Qatil Ko Pilaya Tha Sharbat.
Jab Yad Ali(AS) Ko Aaya Tha
Ik Tashna Kaam Musalay Par.

#21ramzan #shahadathazratali #mirhasanmir #azadarcollection #babulilm
_________________________________

Copyright Disclaimer under Section 107 of the copyright act 1976, allowance is made for fair use for purposes such as criticism, comment, news reporting, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favour of fair use.

Todos los comentarios (2)